Mutah ke baad jo ladki ka Iddah rehta hai, kya usme baat karna jayez hai? Kya ladki na mehram nahi rehti hai jab tak Iddah khatam nahi hota?

Temporary marriage main jaise hi muddat khatam huee dono ka mahram iyar ka rishta khat ho jata hai. Kion is case main Talaq nahin hai sar o kar muddat (time period) per hai. Ab aisi soorat main Mard ka eh koi haq us aurat per nahin rah jata. Jahan tak baat iddat ki hai, usse mard ka koi sarokar nahin eh tab hota hai ke jab permanent marriage main talaq diya gaya ho to Iddat poori karne tak woh uski wife hi rahegi aur mard ko uska poora kharj dena parega aur apne ghar per rakhna bhi parega. Ab agar Iddat poori hone se pahle dono main se koi Rujoo (approach) kar len to unhain mazid nikah karne ki zaroorat nahin hai fir se pahle ki tarah sath rah sakte hain. Magar Mut’a main aisa nahin hai.
Lehaza jahan tak baat karne ki baat hai baat karne main koi mushkil nahin magar aisi koi baat nahin ki ja sakti hai jo akhlaq ke daure se hat kar ho.