Do allahu akbar me jo dusra allahu akbar hai, agar sirf usko wajib jan kar pahla wala yun hi padhte hain to aapki namaz sahi hai isliye ki namaz me niyat kar ke 1 allahu akbar jise takbiratul ahram kahte hain wo wajib hai uske pahle jitni takbir kahen wo namaz ka juz nahi hai. Waise 7 baar takbir kahna mustaheb hai lekin usme bhi jo last wali takbir hai, uske pahle namaz ki niyat kijiye phir wo takbir(takbiratul ahram) ada kijiye