Nazre bad kia hoti hai ? Aur islam mei is ki kia hesiyat hai? Aur aksar log nazre bad se bachnay k liye kala dhagaa ya teeka lagatay hain kia ye jaiz hai? Ya taveez waghaira??

G Nazar e bad Yane Buri Nazar jab koi buri Niyat rakhe ya bura Irada ho ke nuqsan pahonch jaye islam Nazar e bad ko manta hai uske liye duaein hain
Jaise surah qalam ki Aayat 51 Aur 52 ki tilawat karein
Ayatul Kursi Aur surah falaq Aur surah Naas Fajr Aur isha ki namaz ke bad padhein inshallah Khuda ke kalam ke sabab nazar e bad se mahfooz ho jayenge
Baqi kale dhage Aur teeke ka islam se taalluq nahi hai aap inhi Aayat ko taweez ke taur par bandh Sakte hain