Q1. Kya mai apne rishtedar ko sahm e sadat de sakta hum joke aalim e deen hai? Samaji etebar se unhe gharib nahi kaha ja sakta magar unki maali halat unke aaspaas rehne walon ke muqable me kamzor hai.
Q2. Mere Ilm me ye hai ki Ayatollah Khamenei ka muqallid hone ki buniyad par mujhe sahm e sadat dete waqt bhi mujathid ki permission leni padegi, kya ye permission wakeel se li ja sakti hai?

1. Agar unke paas ek saal ki aamdani ya usko haasil karni ki salahiyat na ho tab hi woh Khums ki mustehaq honge, warna nahi honge.
2. Permission wakeel se le sakte hain