Qaza roze ka kaffara kya hai or kisko dena chahiye

Ramzan mubarak ke roze agar bimari, safar ya kisi aur sharyee wajah se nahin rakhe gaye hain to unka koi Kaffara nahin hai balke har roze ke badle Ramzan ke baad Qaza ki Niyyat se roza rakhna wajib hai. Sirf bimar ke liye hai ke har roze ke badle 750 gram food ya uske badle paisa de dey aur Ramzan ke baad un chootey hue roza ko Qaza kare agar sehatyab ho gaya hai.
Jan boojh kar ya aisa koi kam karke jisse roza batil ho jata hai aisi soorat main har roze ke bade 60 roza Kaffara ke taur per rakhega aur agar roza nahin rakh sakta to 60 miskeen ko khana khilayega aur agar uski haisiyat nahin hai to Istegfar karega.