Rasule Khuda ki shahadat ki taarikh mein ikhtlaaf kyu kar hai?
ahle sunnat 12 rabi awwal ko wafat manate hai. jabke hamlog 28 safar ko. 14 din ka farq kyu kar.

Rasool ki rehlat ke waqt Muslim dunya itni masafat tak phel chuki thi ke ek hafta ke safar tha Sab se door tak abadi ka.

Jab aap dunya se chalege aur ghasibo ne haq le liya to unho ne apni position mustahakam karne keliye tamam taraf log bheje is elaan ke saath ke naya khalifa hogaya hai, jab Woh Sab taraf ho aye to waapis aake elaan huwa ke Rasool ka Inteqal hogaya.

Is mein 2 hafte lag gaye. Ek jaane mein ek aane mein.
To jinhone Ahlulbayt se tarikh li unko 28 Safar pata chalgayi jabke baqi log official elaan ke Intezar mein rahe jo ke 12 Rabi al Awwal ko huwa