wsalam,
rohaniyat wajibaat per ammal kernay say aur haram say door honay say hasil hote hay,
rohaniyat koi aese cheez nahe Kay koi ik ammal kernay say hasil hoo, apni zindagi Kay her ammal ko dehyan say anjam Dena,
her lamhay apnay app ko Allah Subhnatala ka bunda smjhna,Rasool e Khuda SAWW say mohabbat kerna unke sunnat per ammal kerna,wilyat ahlebait AS ko tasleem aur unke ataat kerna,
apnay huqooq sahe Ada kerna etc
astagfar zabani bhe hay aur ammal say bhe hay yani dobara woh ammal na kerna
rooz ik tasbeh astagfar kee fajar aur asar kee namaz Kay baad perhain, baqi Allah Subhnatala reham kernay wala hay humain hemsha iss per Yaqeen hona chaye,
music say Murad ghanay weghra hain tu yaqeenun iss Kay negative effects life per perhtay hain,
Illtemasedua