salaam alaikum mere fajar ki namaaz hamaisha qaza hoti hai . mai wuzu karta hu, quran ki tilawat karta hu aur jo b amaal hai jo soonay se pehlay karney chaheye wo b karta hu. phir b nahir uthpata hu, to mere paas sirf ekk raasta bacha hai ki, ab mai soota he nahi hu taki namaaz qaza na ho kya mera aisa karna sahi hai
Walaikumussalam Aap raat Ko jaldi sojaya kijiye wudhu karte hain yeh behtareen amal hai Sone Se pahle sura kahaf Ki akhri Ayat padh kar jis waqt uthna hai uske liye dua karke so jaiye inshallah Aap fajr ke liye uth jayenge Wassalam