Sawal yeh k jab bhi koi acha kam krta hu ya kabhi thode dino tak namaz regularly padne lagta hu ya sadka dene lagta hu aur jab dusre ko dekhta hu k ye namaz nahi pad raha hai ya gunah kr raha hai to dilme ghamand mehsus hone lagta hai. Me boht koshish krtahu k isse bachu , pata hai yeh neki ko khajata hai, aur buri baat hai pr dil se nikaltahi nahi.
Kya karu?
Koi solution hoto please.
Me try krta huto k sochu k bhai me to kuch nahi sab Allah ka diya hua hai pr nahi horaha kuch. Ek baat mene suni k (Jalan agr ho aur aap uspr kuch na bole na act kare to aapko koi nuksan nahi hoga ) kya yeh baat ghamand k liye bhi same apply hogi?

Qaswsa hay ziada, dehaan na Dain.
Astghfar karain 100 times after fajar