Tasbeeh e janabe fatima zehra sa padhte waqt agar 1 ya 2 daane extra padh liye jaise allah ho akbar ko galti se 35 martaba padh liye toh kya tasbeeh ko wapas shuru se padhna padega ya fir continue kr skte hai?

Agar tasbeeh-e-Hazrat e Zahra s.a. ka sawab chahte hain to ek baar phir se utni hi tadad me padhen jitni batayi gayi hai. Aur agar aisa nahi karte hain tab bhi mutlaq zikr ka sawab zaroor milega Insha Allah lekin Tasbeeh ka nahi.