Zakat mein aisi koi shart hai kya saal bhar agar use nahi kare to zakat Dena hoga ya use kare ya nahi to bhi Dena hoga? Kya yeh har saal nikalna hai ya ek baar nikal diye to uspe nahi nikalna hai?

Jo zakat ki amount banti hai woh Kya gold ki shakal mein hi dena hai ya woh amount de skte hai? Gold to pehle kharida tha ab zakat kharidi hui kimat pe nikale ya abhi jo rate chal raha hai. Pehle Jo rate pe kharida tha woh to yaad nahi.

Aap chahen To utna gold nikal den ya utne gold ki qeemat ada kar den aur rate wahi hoga jo aaj aapke gold ka rate market main hai.