Maulana Sayed Haider Abbas Rizvi
User Pic
Name: Maulana Sayed Haider Abbas Rizvi
Age: NIL
Location: India
Expertize: Akham , Aqaed, Tarikh and Tafsir
Question:Mein ye puchna chahta hu k khana khanay se pehlay bismillah hirrahmanirraheem pura parhna chahiye ya sirf bismillah kehna kafi hai?


Ayatollah:Sistani

Answer: Bismillah.... Raheem pura padhna chahiye
Question:Kya kisi bachche k sayyad hone k liye ye zaroori hai ki uski maa or baap dono sayyad ho. Agar maa ya baap main se ek sayyad ho to kya vo sayyad nahi hota?


Ayatollah:Sistani

Answer: Bap ka sayyad hona zaroori hai man sayyad ho ya na ho
Question:Agar parda laga ho, aur koi aurat aage namaz padh rahi ho to kya namaz ho jaegi ya fir diwar ya darwaze ka hona zaruri hai?


Ayatollah:Sistani

Answer: Agar parda ho to bhi kafi hai
Question:Arabic lafz "SAFINE" ke kya mane hai


Ayatollah:Sistani

Answer: Safina kashti ko kahte hain
Question:Aur ye ki agar humari koi namaaz qaza hui ho aur hum hamesha se dua e qunoot padhte hain to kya uski ada me qunoot ki dua padhni hoga ki nahi?


Ayatollah:Khamenei

Answer: Qunoot namaz me wajib nahi hai lekin iski bahut takeed ki gayi hai isliye namaz qaza me bhi padhen
Question:Me Akbari Aur usooli ki larai se tang agya hon.
Me Kis ka sath don kiya karon?
Akbari ka sath don to kafi mushkil ajati hai.
Taqleed karna shuru karoon to ye bola jata hai ke usooli shia to mukasir hote hen. Ab Akbari ke pas jao wo apni tableekh karta hai Usooli ke pas jao wo apni tableekh karta hai.

Ayatollah:N/A

Answer: Usooli aur akhbari ka jhagda jo awami satah par hai wo beja masayel me hai isliye is ka faisala na mumkin hai.
Insan ke andar Allah ne aql ki qowwat rakhi hai jis se insan samajh sakta hai ki kaun log deen se qarib hain kaun door hain
Question:What finger can we wear rings on. Does it matter what hand?


Ayatollah:N/A

Answer: You can wear ring in little finger and ring finger
Imam Hassan Askari a.s ne farmaya : shia momin ki pahchan hai ki wo right hand me ring pahenta hai
Question:Haazri, nazr, aur fateha karne ka kya tareeqa hai? Koi bhi imam a.s. ke naam se


Ayatollah:Sistani

Answer: aik baar sura fateha aur teen baar sura qul huwallah padh ke jis masum ki nazr karna ho usko hadiya kar den
Question:Mustahab roze mey agar koi roza kholne se phele hamare samne kuch khane ya pine ke liyea pesh kare to hum roza khol kar us samey kha sakte hai?


Ayatollah:Sistani

Answer: Agar momin dawat de to roza khol len, aapko roze ka pura sawab milega aur momin ko iftaari karane ka sawab milega
Question:Sunni mulana se nikkah jayaz hai kiya


Ayatollah:N/A

Answer: G agar segha padha hai to sahi hai
Total 26 Questions 1 2 3