Maulana Zameer Haider
User Pic
Name: Maulana Zameer Haider
Age: 33
Location: Karrari, Uttar Pradesh, India
Expertize: Ahkaam, Akhlaq, Tareekh, Aqaed and Adyan
Question:If I am in state of janabath, and have no time to perform ghusl and no time to do tayamum. And the time of namaz is getting over. What should I do? Can I read namaz without tayamum.?

Ayatollah:Sistani

Answer:
salamun alaikum,namaz baghair taharat nahi ho sakti aap tayammum kijiye aur namaz ki agar ek rakaat bhi time par ho gai to wo namaz ada mani jaegi qaza nahi
Question:SalamunAlaikum Janab main India mein Bank mein job karta hun mera kaam bank ki branch me Customer service karna jaise unke account kholna , account mein cash jama karna hai kya ye job karna sharai lehaz se sahi hai jabki in sab accounts mein bank interest deti hai

Ayatollah:Sistani

Answer:
ws,india ke bank me kaam karna jaez hai chahe bank ka koi bhi sector ho
Question:assalamo alalikum hindu Brahman kaun hai ek movie ban rahi jis mein yeh kaha gaya hai janabe sheharbano (Imam e hussain (as) ki wife) ki behan hidustan mein shaadi hoke aaye hi jisse hindu brahman ki nasl hai. jo karbala ke waqiya ke baad karbala rawana hue the. Is ki tareekh mein kahi zikr hai kya? iska koi reference kitaabo ke andar? pls bataye. mohtaje dua Khuda Hafiz

Ayatollah:Sistani

Answer:
ws,jahan tak maine is baare me mutalea ki koi cheez kitabon me nahi mili,aur shaher bano ki bahen maher bano jiska zikr isme hai wo kunwari hi inteqal kar gai thin aur iran me hi dafn hai
Question:Assalamo Alaikum agar galti se tashahud ke baad salam padh de aur takbeer b to namaz baatil hogae ya continue kar sakte hai takbeer kehte waqt yaad aagaya ke yeh last rakat nahi thi. iltemas dua

Ayatollah:Sistani

Answer:
ws,agar takbeer ke waqt yaad aa jae to fauran khada ho kar apni namaz aage padhega aur namaz tamam karne ke baad 2 sajde sahw anjam dega
Question:assalamo alaikum humari namaz Qasr hogae thi lekin galti se puri namaz padh li to kya abhi wapas se Qasr ki niyata se namaz padhna padhegi. agar wapas padhna hai to qaza ki niyyat se ya normal. mohtaje dua. jazakallah

Ayatollah:Sistani

Answer:
ws,agar bhool kar puri padhi hai to jab tak namaz ka time bacha hai agar yaad aajae to namaz ko dobara qasr padhna wajib hai aur agar us namaz ka waqt guzarne ke baad yaad aae to qaza zaruri nahi agarche ehtiyat ki bena par behtar hai ki qaza ki niyat se padh le
Question:Agha Salamun Alaikum. Nazre Bad ke door hone ke liye kaun si Dua padhe.

Ayatollah:Sistani

Answer:
ws,surae qalam ki 51 aur 52 aayat kasrat se padhen
Question:Assalaamu-aliakum when should these surahs be recited?

Ayatollah:Khomeni

Answer:
ws,waise to ye surah kabhi bhi padh sakte hain lekin kuch special moment bhi hain,,, yasin ke baare me imam ali ki hadees hai,jab bhooke ho,pyase ho,lebas na ho,kunware ho,dar me ho,mareez ho,jail me ho,safar me ho,maut ke waqt,koi cheez kho gai ho talash karna ho to in sab jaghon par surae yasin padho..........surae rahman munafeqat door karta hai,mayyat ko faeda deta hai,jab koi nemat mile etc..
Question:salam bar sipahi e imam (as) mein khumus ka hisab lag ra hn. mein pkr 32000 apni begum ko dy di aur phir us se lay k udhar dy dia aur us ko kha k wapys kar dn ga. ab us per mein khumas ka hisab karn ga ya ni ?

Ayatollah:Khamenei

Answer:
ws,qarz dia hua paisa agar khums ki date par wapas lena aapke bas me hai to wapas le kar khums dijiye, agar abhi wapas na mile to jab bhi milega usi time us paise par khums dena hoga
Total 343 Questions 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35