Sheikh Murtuza Bharmal
User Pic
Name: Sheikh Murtuza Bharmal
Age: NIL
Location: Gujarat, India
Expertize: Ilm-e-Fiqh
Question:Mubashirat k bad ya ehtalam k bad jo kapre najis hote hay jispey liquid k drops ya zaraat hotey hay, kia wo clothes normal wash mai baaqi kapron se dhona sahi hay washing machine mai? Ya unhe pehley alag se paak krein phir alag wash mai dhoyein?


Ayatollah:Sistani

Answer: Agar machine fully automatic hai to sath mai dhonese pak hojaiga. Dhone se pehle tissue ware se us najasat ki saf kar lai
or dhone ke bad machine ki voh jageh jaha mamulan dhote waqat chhite lag jaati hai usko pak kar lai
Question:Ayatullah khamnai k nazdeek ghusl e juma krne k bad wuzu krna zruri hai ya nahi?


Ayatollah:Khamenei

Answer: Wazu krna zruri hai
Question:Aj kl kai log jab birthday dates ate hai unke friends ya relative ki during Muharram tab wo WhatsApp par status upload karte hai kabhi with birthday caption kabhi without birthday caption lkin koi na koi dua ke sath.
Agar uspar koi objection karta hai to keh dete hai ki hmne birthday ka wish kiya hmne sirf dua hi di hai
Agha kya yeh sahi hai ?

Ayatollah:N/A

Answer: Haram nahi hai lekin parhez karna behter hai khas tor se moharram ke phele aasre mai
Question:Ghr me aman or hr buri nazar or preshani sy duri ka koi wazifa hai?


Ayatollah:Khamenei

Answer: ما شاء اللہ لا حول ولا قوۃ الا باللہ العلی العظیم
زیادہ پڑہے
Question:1) Khawateen ki namaz ba jama at ho skti h
2) Kya miya biwi ik sath ik time m ik jgah namaz par skte hai

Ayatollah:Sistani

Answer: 1) خواتین کی نماز جماعت ہو سکتی ہے
2) میاں بیوی ساتھ میں نماز پڑہے تو بیوی کو اتنا پیچھے کھڑا رہنا چاہئے سجدہ کی جگہ شوہر کے کتنے برابر ہو
Question:ہم شعیہ لوگ آذان 3 کیوں دیتے ہیں؟

Ayatollah:N/A

Answer: کیونکہ ظہر و عصر اور مغرب عشاء کی نماز ساتھ میں پڑھتے ہیں اگر دو نمازوں کے درمیان فاصلا ہو تو الگ سے اذان دینے کی ضرورت ہوتی ہے
Question:Kya paytm mai intrest lana haram hai. Kya hm fixed deposit mai pisay rakh kr interest lai sakhtay hai jo ki bank ke tarf sai hota hai? Kya hakum hai?

Ayatollah:N/A

Answer: Jaiz hai
Question:Shaitan nai jb hazrat adam ko sajdah karnay sai inkar keya toh khuda nai iss maloon ko apnay darbar sai nikal diya toh phir shaitan kis tarah wapas gaya ur hazrat adam ko apnay chal mai fasaya tha? Aur mai nai suna ki phir shaitan snake kai through khuda kai darbar mai wapas gaya ur hazrat adam ko mislead keya


Ayatollah:N/A

Answer: Is topic par riwayat mukh talif hai
Is tin points par tavjjo de aap ko apne sawal ka jawab mil jai ga:

1) Ikhtaj shaitan physically nahi tha
2) Janat duniya ke baho me se ek bagh tha ya aasman par ka bagh
3) Vasvase ke liye shaitan ka physically hazir hona jaruri nahi hai
Question:Tashahud me sahadat e salisa ke bare me sistani sahab ka kya khena hai?


Ayatollah:Sistani

Answer: احتیاط واجب کی بنا پر جایز نہیں ہے
Question:Hame sehme imam kis ko dena chahiye?

Ayatollah:Sistani

Answer: Mujtahid ko ya jis ko us ne ijazat di ho us ko dena chahiye
Total 210 Questions 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21